Aaa Tu Daud Ke Lipat Jaa
Aa tu ke daud ke lipat jaa seene say humare
Phir ishara iss taraf say hoga, yeh umeed na rakh,
Ki ek baar mohabat ki beekh maangi thi tujh se
Baar baar sar mera jhukega, yeh umeed na rakh,
Na acha kiya tune iss dil ko thukra ker
Tujhko na koi thukrayega, yeh umeed na rakh,
Bohat he tadpaya gam ne tere humko magar
Hum yun ghut ghut ker mar jayenge yeh umeed na rakh..
Jaane Kyun ?
Taraste they jo milne ko humse kabhi,
Aaj woh kyun mere saaye se katrate hain,
Hum bhi wahi hain dil bhi wahi hai,
Na jane kyun log badal jate hain..
Wafaa...........
Wafa ka naam na lo yaaro, wafa dil ko dukhati hai
Wafa ka naam lete hi ek bewafa ki yaad aati hai!!!
Har Aasuno Mein
Har aasunoN mein jo baha vo dard tumhara hai,
Humne kiya pyar jo tumse to qasoor humara hai,
Dil-a-naadan ghalti kar baatha,
Ek bewafa sa dil laga baatha..
Gam Hai Ki
Gam hai ki tumhe apne pyaar ka ehsaas karaa na sake
Tum rooth na jao yeh soch ke tumhe manaa na sake,
Tum gair ke na ho jao kisi mod par
Is dar se kabhi tumhe apnaa na sake.....
Page 1 2